Sahi hadees sharif hindi urdu mein
1) Hadees: Abdullah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab teen shaksh saath ho to teesre shakash ko chor kar Do aapas mein Kaanafusi(chupke se baat) na karey.
- (Sahih Bukhari, Vol7, 6288)
2) Hazrat Muaawiya (rd.) farmatey hai ke Rasulullah sallallahu alaihi w sallam sahaaba (rd.) ke eik halqey (majlis) me tashreef ley gaey aur uun se daryaaft kiya:
Tum yahaan kaisey beithey ho?
sahaaba (rd.) ne arz kiya:
Ham Allah T'aala ka zikr karney aur iss baat ka shukr adaa karney ke liey beithey hai ke Allah T'aala ne ham ko islam ki hidaayat dekar ham par ehsaan kiya he.
Rasulullah sallallahu alaihi w sallam ne irshaad farmaya:
Allah ki Qasam !
Kya tum sirf isee wajah se beithey ho?
Sahaaba (rd.) ne arz kiya:
Allah ki Qasam !
Sirf isee liey beithey hai.
Nabi e kareem sallallahu alaihi w sallam ne irshaad farmaya:
Mainey tumhey jhutha samajh kar Qasam nahi li,
Balki baat ye he ke Jibraeel (a.s.) merey paas aaey the,
aur ye khabar suna gaey ke Allah T'aala tum logon ki wajah se farishton par fakhr farma rahey hai.
MUSLIM -6857
3) hadees DUNIYA
AUR
AURAT
Rasulullah sallallahu alaihi w sallam ne irshaad farmaya:
Suno !
Duniya mithi aur hari-bhari (હરી-ભરી) he,
aur Allah T'aala zarur tumhey uus ki khilaafat ataa farmaegey,
taaki deikhein ke tum kaisey aamaal kartey ho,
pas tum duniya se aur aurton (ke fitney) se bacho.
MUSLIM -6948
4) Maut ke waqt mein kalma tayyaba padhne ki ahmiyat
Hadees: Muadh bin Jabal Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jis nafs ko bhi is haal mein maut aaye ki wo is baat ki gawahi deta ho ki Allah ke siwa koi mabud nahi aur main (Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam) Allah ka rasool hu aur ye gawahi dil ke yakeen se ho to Allah subhanahu uski maghfirat farma denga.
- (Sunan ibn Majah, Vol 1, 677-Hasan)
- (Sunan ibn Majah, Vol 1, 677-Hasan)