Ramzan ka mubarak mahina farmaneRasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam

Ramzan ka mubarak mahina farmane Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam

Sahi hadees aur farmane rasool

1. Rasulullah sallallahu alaihi w sallam ne irshaad farmaya:
jo shakhs kisi rozadar ko iftaar karaey
uus ke liye gunahon ke muaaf honey aur aag se khalaasi ka sabab hoga
aur rozadar ke sawaab ke maanind uus ko sawaab milega
Magar rozadar ke sawaab me se kuchh km nahi kiya jaega.
Sahaba (rd.) ne arz kiya :
Ham me har shakhs itnee wus'at nahi rakhta ke iftaar karaey
toa Aap Sallallahu alaihi w sallam ne irshaad farmaya:
Ye sawaab toa Allah T'aala eik khajoor se koee iftaar karaey
ya eik ghunt paani pila dey
ya eik ghunt dudh pila dey
uus ko bhi ataa kar deitey hai.

IBNEY KHUZAIMA -1780

Ramzan e Kareem aur sahi hadees nabi kareem sallallahu alaihi w sallam ne

Allah subhan tala ki raza ke liye roza rakhna 

Rasulullah sallallahu alaihi w sallam ne irshaad farmaya:
Jo shakhs Allah T'aala ki raza ke liye eik din ka rozah rakhega
Toa Allah T'aala uus ke aur jahannam ke darmiyaan eik aisee khandaq bana dega
Jis ki masaafat (distance) aasmaan w zameen ke darmiyaan ke baraabar hogi.

TIRMIZI-1624

Ramzan e Mubarak ka mahina aur bande ka is mahina sawab farmane rasool 

Rasulullah sallallahu alaihi w sallam ne irshaad farmaya:
Agar bandon ko malum ho jaey  ke Ramzan kya he ?
Toa meri Ummat tamanna karti
ke  kaash pura Saal Ramzan hi ho jaey.

IBNEY KHUZAIMA
-1886

Jab ramzan e kareem ka mahina qareeb aa jaye to farmane Rasulullah sallallahu alaihi w sallam ne


Hazrat Anas (rd.) farmatey hai

Jab maah e Ramzan qareeb aa gaya toa Rasulullah sallallahu alaihi w sallam ne

 Maghrib ke waqt mukhtsar bayaan farmaya uus me irshaad farmaya Ramzan tumharey saamney aa gaya he,

Aur tum iss ka istiqbaal karney waley ho
Gour se suno !

Ramzan ki pehli raat hi me ehley Qiblah (Musalmano) me se har eik ki maghfirat kar di jaati he.

HAYAATUS
SAHABA
JILD-3
SAFA-439/440

     Iftaar mein jaldi karna Hadees e rasool

Hadith: Sahal bin saad radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Meri Ummat ke Logon mein us waqt tak khair baqi rahegi jab tak wo iftaar mein jaldi karte rahenge.

 -  Urdu Ref: (Sahih Bukhari, Jild 3, 1957)
 -  Eng Ref: (Sahih Bukhari Book 31, Number 178)

  👥  *Plz Share to others also* 👥

Agar hamari post aapko achi lagti hai to share zaror kare aur allah padhene amal karne ki taqfeeq ata farmaye aameen suma aameen

A bhi padhe  Roze se related post


Roza kin kin cheezon se makhrooh hota hai



Share this

Related Posts

Previous
Next Post »