Namaz ada karna aur bandhe ka allah se qarib hona sahi hadees ki rashoni mein

Namaz ada karana sahi hadees ki rashoni mein

Rasulullah sallallahu alaihi w sallam ne irshaad farmaya:
Bandah namaz ke dowraan sajdah ki haalat me apney Rab ke sab se ziyadah qareeb hota he,
Lihaza (iss haalat me) khub duaaein kiya karo.

MUSLIM -1083

FAIDAH Nafal namazon ke sajdon me khaas tor par duaaon ka ehtimaam karna chahiye.


  Namaz ki fazilat

Rasulullah sallallahu alaihi w sallam ne irshaad farmaya:
Jo shakhs paanchon namazon ki iss tarah paabandi karey
ke wuzu aur awqaat (waqt) ka ehtimaam karey
Ruku'a, sajdah achchhi tarah karey
Aur iss tarah namaz padhney ko Allah T'aala ki taraf se apney zimmey zaruri samjhey
Toa uus aadmi ko Jahannam ki aag par haraam kar diya jaega.

MUSNAD E AHMAD
-4/667

Namaz Deen Ka Sutoon ,

↬• Namaz ko Hadees me ," imaadud Deen " ( Deen ka sutoon ) Farmaya gaya he ,

★• iska matlab ye he k Namaz per baqi Deen mu'allaq he aur Wo Namaz hi se milta he ,

★• Namaz se Deen ka tafaqqoh bhi milta he aur Amal Kï Tofeeq bhi milti he ,Fir jesi Jiski Namaz hogi Wesi hi uske Haq me ata bhi hogi ,

★ • Isliye Namaz Kï Dawat dena aur Logo ki namazo me khushu v khujoo paida karne Kï koshish karna bilwaasta poore Deen ke liye koshish karna he ,

★. Farmaya::- Jo kaam Awaam mukhliseen Se liya ja sakta ho aur usse un mukhliseen ke darje aur Ajr me Taraqqi Kï Ummeed ho ,

*_Wo unse na Lena aur usko khud karna ,Un mukhliso ke saath hamdardi nahi he balki un per ek tarah ka Zulm he ,aur Allah ke Kanoon Kï naqadri he ,

★• Bhai Deen per Amal bade tafaqqoh ko chahta he ,


------- Baqi hidayaat agle part me,

Share this

Related Posts

Previous
Next Post »

1 comments:

comments
3 March 2022 at 05:00 delete

Caesars Casino: Now Open! | Jackson County Chamber of Commerce
With 양산 출장마사지 a 김제 출장마사지 stay at Caesars 경주 출장샵 Casino, you'll be centrally located in Jackson County, steps from Harrah's Ak-Chin Casino and 인천광역 출장안마 30 전주 출장샵 minutes by foot from the

Reply
avatar