Sahi hadees ki list Muslim bukhari more farmane Nabi Kareem

Farmane rasollah Sahi hadees Muslim bukhari aur bahut sare list

 Bismillahirrahmanirrahim

   Salaam karne me pehal

Hadith: Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam se kisi ne puchha k jab Aadmi ek doosre se mile to un dono me se kon pehle salaam kare? Farmaya: ”Jo un dono me khuda ke nazdeek zyada behtar ho,"
 -  Urdu Ref: (Tirmizi, 2694)

Hadith: Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ka irshad he: ”Wo Aadmi khuda ke zyada qareeb he Jo salaam karne me pehal karta he,”
 -  Urdu Ref: (Abu Dauwd, 5197)

Sahi hadtih in Hindi hingilsh Urdu

Hazrat Abu Ayyub Ansari (rz.a) ne k
Rasool Allah Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya : kisi shakhs k liye jayaz nahi k Apne kisi bhai se teen(3) din se ziyada k liye mulaqat chorde ' Is tarah k jab dono ka saamna ho jaye to ye bhi munh phair le aur woh bhi munh phair le aur un dono me behtar woh hai jo salam me pahel kare .

 Sahi Bukhari : 6077

Islaam deen sahi hadees ke roshani mein faramane huzoor

Hazrat Abu huraira (rz.a) se riwayat hai ' Rasool Allah Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya :" Qasam hai us zaat ki jis k haath me meri jaan hai ! Tum jannat me dakhil nahi ho sakte hatta k emaan wale ban jao - Aur tum (kamil) momin nahi ban sakte hatta k Aapas me mohabbat rakho - kya tum ko ek cheez na batao jab tum woh Amal karoge to ek dusre se mohabbat karne lago ? Aapas me salam ko Aam karo .

 Sunan ibne maaja : 3692
(Sahih)

Farmane rasollah sahi hadees ki roshani mein 

Namaz ke baad aur hadees e paak 

Rasulullah sallallahu alaihi w sallam ne irshaad farmaya:
Tum me koee shakhs namaz ke baad apni jagah par beitha rahey,
toa farishtey uus waqt tak uus ke liye maghfirat ki duaa kartey rehtey hai,
jab tak uus ka wuzu na toot jaey,
farrishtey ye duaa kartey hai,
Aey Allah !
iss bandey ki maghfirat farma,
Aey Allah !
iss bandey par raham farma.

BUKHARI -445

ksi raste pe giri chiz ko uthane ke baad kya kare farmane nabi kareem hadees 

Rasool Allah Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya :" Jise koi giri padi cheez mile to use chahiye k ek ya do(2) Aadil gawah bana le - Aur chupaye nahi aur na gayab kare ' phir agar us k malik ko paaye to use laota de ' warna woh Allah ka maal hai jise chahata hai inayat farma deta hai .

Sunan Abu dawood : 1709
(Sanad sahi )

maiyyat dafnane ke baad ka bayyan faramane huzoor Sallallahu Alaihe Wasallam

Hazrat usmaan bin Affan (rz.a) se marwi hai k Nabi Sallallahu Alaihe Wasallam jab maiyyat ko dafan kar k farig ho jaate to qabr par rukte aur farmate :" Apne bhai k liye istegfaar karo aur sabit qadmi ki dua karo be shak ab is se sawal kiya jayega .

Sunan Abu dawood : 3221
(Sanad hasan )

Allah se mangna aur bimari bhi ek rabbul almin ki nimyat 

Rasulullah sallallahu alaihi w sallam ne irshaad farmaya:
jo bandah bimari ki wajah se (Allah ki taraf mutawjjah hokar) gidgidata he,
toa Allah T'aala uus ko bimari se iss haal me shifa ataa farmaegey ke wo gunahon se bilkul paak saaf hoga.

TABRANI,
Majmu az zawaid
3/31

Jannat mein chughal khor chogli karne wala aue bahotan bandne wala nahi jayega 

 Humare Nabiye Kareem (sall Allahu alayhi wa sallam) ne irshad farmaya:

'Jannat mein chughal-khor nahi jayega. [Riyad As-Salihin 1536]

THE CALUMNIATOR WILL NEVER ENTER JANNAH (PARADISE).

Our Prophet (sall Allahu alayhi wa sallam) said:

'The person who goes about with calumnies will never enter Jannah.'[Riyad As-Salihin 1536].

Ettad ki khushbu aur aurat 

Jo Aurat Ettar aur Khushbu laga kar Mard ke pass se guzre, ta ke mard uski khushbu mahsus kare, wo Zina karne wali Aurat hai."

 (NASAEI)

Sirf duniya hasil karne ke liye ilm hasil karna kaisa hai hadees 

Hazrat Abu huraira (rz.a) ne bayan kiya k Rasool Allah Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya :"Jis ne Allah ki raza mandi wala ilm is garz se hasil kiya k duniya hasil kare ' To aisa Aadmi qayamat k din jannat ki khusbo nahi paa sake gaa .

 Sunan Abu dawood : 3664
(Sanad hasan)

Musalman kon hain

Hadith: Abdullah bin Amr Radi Allahu anhu se rivayat hai ki RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Musalman wo hai jo musalman ko Apni Zuban aur haath se (Takleef pahunchney se) mahfooz rakhe aur Muhajir wo hai jo un cheezon se ruk jaye jis se ALLAH ne mana kiya.

 - Urdu Ref: (Sahih Bukhari, Vol 7, 6484)
 - Eng Ref: (Sahih Bukhari, Book 76, 491)

Is sahi hadees ke list ko aap share kar sakte hain social madia me jase Facebook whatsapp Twitter Google+ par aur sawab hasil kar sakte hain in sha allah dua ki darkhast assalamau alaikum warhemat ullahi wabarkatuhu

Aur yaha is website par aapko faramane nabi kareem aur sahi hadees Quran deen e masile masail aur ambiya ke barme aur deen e haq islaam ka aur hamare roze apne email par ache ache post msgs pane ke liye abhi subscribe kare apne email id se niche subscribe box par jazakh allaho khaira 

Share this

Related Posts

Latest
Previous
Next Post »

3 comments

comments
30 January 2020 at 11:11 delete

Aslam alaikum bhai muje hinglish may Bukhari sharif chahiye kaise load kare

Reply
avatar