1) Qur’an mein Allah Ta’ala farmaata hai (Tarjama): Aur jo log Imaan laaye hain aur unhon ne nek amal kiye hain, ham un ko aise baagaat mein daakhil kareingey jin ke neeche nehrein behti hongi, yeh un mein hamesha hamesha raheinge ye Allah ka sachcha wa'ada hai aur Allah se ziyaada baat ka sachcha kaun ho sakta hai. (Sura-e-Nisa: 122
2)
Bismillahirrahmanirrahim
Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjama): Jo log Imaan laye aur unhone apne imaan mein shirk ki milawat nahi ki, aman inhi keliye hai aur yehi log hidayat par hain. (Qur'an Surah Al-An'aam: 82)